Hame pyar karne na dega zamana, agar ho sake to mujhe bhul jana song is from and it is sung by and .It stars and in leading roles. This song is penned by and composed by . It is produced by H. B. Sayad. This song was released on 01 Jan 1967.
humen pyaar karne
na dega zamana
agar ho sake to
mujhe bhool jana
mujhe bhool jana
tera pyaar hi to
meri zindagi hai
ke aasan nahin hai
tujhe bhool jana
tujhe bhool jana

paraye bhi hokar
tumhare rahenge
nazar mein yun hi
ye nazaare rahenge
nazaaron mein kya hai
bahaaron mein kya hai
agar tum nahin
chand taaron mein kya hai
yahi yaad to hai dilo ka khazaana
humen pyaar karne
na dega zamana
agar ho sake to
mujhe bhool jana
mujhe bhool jana

bhulaado muhabbat ki
tum ye kahani
ke bachpan ko jaise
bhulaa de jawani
jo mit jaaye dil se
wo ulfat nahin hai
hume aise jeene ki
hasrat nahin hai
kasam tumko meri
na khud ko mitana
tera pyaar hi to
meri zindagi hai
ke aasan nahin hai
tujhe bhool jana
tujhe bhool jana
humen pyaar karne
na dega zamana
agar ho sake to
mujhe bhool jana
mujhe bhool jana

More songs from Pyar Ki Baazi (1967)