LyricsTashan

Gali Gali Chor Hai Lyrics - Mohit Baghet | Sahaj Bradoria | Mugdha Godse | Kailash Kher

in Album Songs

Watch the Video

Song Information

Gali gali chor hai song is sung by .It stars , , , in leading roles. The music of this song is composed by . This song was released on 10 Nov 2019.

Lyrics

yeh sab mann ke bhi hain kaale
yeh sab dhan ke bhi hain kaale
kya baat hai bhaiyya kya baat hai
mere ghar mein hi rehte hain mera ghar lootne wale
dil ki baat keh di hai bhaiyya dil ki baat
jo cheezein junglon ki hai unhe jungle mein rehna tha
woh ab dilli mein rehte hain jihne chambal mein rehna tha
jihne chambal mein rehna tha
nikaalo nikaalo inn bayimaano ko
gali gali chor hai gali gali chor hai
corruption corruption corruption ka shor hai
choron ka zor hai choron ka zor hai
choron ka daur hai choron ka daur hai
choron se bandhi hui choron ki dor hai
choron se bandhi hui choron ki dor hai
gali gali chor hai gali gali chor hai
abhey minyan sacchi baat boli hai tune
corruption ne likhi hai saari kahani
corruption ne likhi hai saari kahani
bina ghoos khori na bijli na paani
bina ghoos khori na bijli na paani
yahan saans lene ki keemat lagey gi
gharon se nikalte hi rishwat lagey gi
yahan aam logon ka hai yeh mukadder
na kuch ghar ke baahar na kuch ghar ke andar
na kuch ghar ke baahar na kuch ghar ke andar
na nehru ka sapna salamat raha hai
na gandhi ka charkha salamat raha hai
aadalat kachehri yeh vardi yeh thaane
chalate hain rishwat ke sab kaarkhaane sab kaarkhaane
disha koi bhi ho looteron ka zor hai
disha koi bhi ho looteron ka zor hai
gali gali chor hai gali gali chor hai
yeh topi yeh dhoti yeh kurte pajame yeh kurte pajame
sab inke natak hai sab inke dramein
sab inke dramein sab inke dramein
koi inn se keh de garebaan mein jaanke
dua hai ke khul jaaye dilli ki aankhein
ladaayi abhi humko rakhni hai jaari
hai azaadi ab tak adhoori hamari adhoori hamari
siyaasi looteron ka kaisa yeh daur
siyaasi looteron ka kaisa yeh daur
gali gali chor hai gali gali chor hai
gali gali chor hai gali gali chor hai
uljhan hai yeh corruption dushamn hai yeh corruption
apni aayodha mein raavan hai yeh corruption
rail ki patriyon pe daude hai yeh corruption
sacchiayion ke sheeshe todhe hai yeh corruption
jaane kahan se aaya kisne ise bulaya
kheton mein apni aakhir yeh zehar kyun ugaya
koi haqeem laayo koi dawa pe laayo
habeez ko baandho iss booth ko baandho
inn brashtachaariyon ko dhan ke pujaariyon ko
pakad ke inn ko jail mein daalo
desh ko apne inn se bacha lo desh ko apne inn se bacha lo
desh ko apne inn se bacha lo gali gali chor hai gali gali chor hai
corruption corruption corruption ka shor hai

Related Songs

More songs
More songs of Shriya Saran
More songs of Vijay Raaz
More songs of Jagdeep
More songs of Kailash Kher