Hamasafar ab ye safar kat jaaegaa song is from and it is sung by and .It stars , , , in leading roles. This song is penned by and composed by . This song was released on 01 Jan 2018.
hamsafar ab ye safar kat jayega
hamsafar ab ye safar kat jayega
raste me ji na ab ghabarayega
raste me ji na ab ghabarayega
hamsafar ab ye safar kat jayega

kis kadar rangin hai lamhat ye
hamkadam pahale kaha thi bat ye
koi hasrat thi na koi yad thi
zindagi kya thi koi fariyad thi
dil mera to mujhse bhi anajan tha
ek patthar ki tarah bejan tha
pyar tera ab ise dhadkayega
hamsafar ab ye safar kat jayega

suni rahe aur kali rat thi
apni to parchhayi bhi na sath thi
har kadam par aa raha tha ye khyal
tanha mazil tak pahunchana hai muhal
aise hi viran se ek mod par
ji uthi mai teri surat dekh kar
ab ye virana chaman kahalayega
hamsafar ab ye safar kat jayega

meri nazro ko hai duniya se gila
chal diya vo chhod kar jo bhi mila
mujhpe logo ne kiye hai jo sitam
mai badi mushkil se bhuli hu sanam
dekhna tu bhi yahi karna nahi
diljalo se dillagi karna nahi
umr bhar varna ye gam tadapayega
ye musafir raah me rah jayega
ye raha vada na din vo ayega
hamsafar ab ye safar kat jayega