Gar Pyar Humara Sacha Hai Lyrics - Tarzan In Fairyland | Indira | Shyam Kumar | Azad | Mohammed Rafi
in Movies
Watch the Video
Song Information
Gar pyar humara sacha hai song is from Tarzan In Fairyland (1968) and it is sung by Mohammed Rafi.It stars Indira, Shyam Kumar, Azad, Ram Mohan in leading roles. This song is penned by Shewan Rizvi and composed by Jimmy Premnath. This song was released on 01 Jan 2018.
Lyrics
agar pyar hamara sacha hai
har takat ko lalkarega
ye pyar kabhi na hara hai
ye pyar kabhi na hara hai
ye pyar kabhi na harega
ye pyar kabhi na harega
julm duniya me sada
pyar pe hota raha
parchame ishq magar
ho ke uncha na jhuka
jo kadam aage badha, badhke piche na hata
jo kadam aage badha, badhke piche na hata
ishq mohabbat ke liye
taaz aur takht diye
teer aur talwar chale
vaar pe vaar chale
o pyar jab jhuk na saka
aayi duniya ki sada
o pyar jab jhuk na saka
aayi duniya ki sada
ha pyar jab jhuk na saka
aayi duniya ki sada
kya, is pyar se duniya hari hai
ye pyar kabhi na hara hai
ye pyar kabhi na harega
ye pyar kabhi na harega
kisaa ye kais bhi sun
jisko thi ishq ki dhun
taar daman me na tha
phul gulshan na tha
dil ki murjhai kali
aarzoo dil ki jali
marte marte na chuti
haye laila ki gali
ishq me ho ke fana
aisa diwana bana
jo bhi turbat pe gaya, aayi turbat se sada
jo bhi turbat pe gaya, aayi turbat se sada
kya, is pyar se duniya hari hai
ye pyar kabhi na hara hai
ye pyar kabhi na harega
ye pyar kabhi na harega