Gali gali chor hai (title) song is from and it is sung by .It stars , , and in leading roles. This song is penned by and composed by . It is produced by Nitin Manmohan. This song was released on 03 Feb 2012.
Yeh sab mann ke bhi hain kaale
Yeh sab dhan ke bhi hain kaale
Kya baat hai bhaiyya kya baat hai
Mere ghar mein hi rehte
Hain mera ghar lootne wale
Dil ki baat keh di hai
Bhaiyya dil ki baat
Jo cheezein junglon ki hai
Unhe jungle mein rehna tha
Woh ab dilli mein rehte hain
Jihne chambal mein rehna tha
Jihne chambal mein rehna tha
Nikaalo nikaalo inn bayimaano ko


Gali gali chor hai gali gali chor hai
Corruption corruption
Corruption ka shor hai
Choron ka zor hai choron ka zor hai
Choron ka daur hai choron ka daur hai
Choron se bandhi hui choron ki dor hai
Choron se bandhi hui choron ki dor hai
Gali gali chor hai gali gali chor hai
Abhey minyan sacchi baat boli hai tune


Corruption ne likhi hai saari kahani
Corruption ne likhi hai saari kahani
Bina ghoos khori na bijli na paani
Bina ghoos khori na bijli na paani
Yahan saans lene ki keemat lagey gi
Gharon se nikalte hi rishwat lagey gi
Yahan aam logon ka hai yeh mukadder
Na kuch ghar ke baahar
Na kuch ghar ke andar
Na kuch ghar ke baahar
Na kuch ghar ke andar
Na nehru ka sapna salamat raha hai
Na gandhi ka charkha salamat raha hai
Aadalat kachehri yeh vardi yeh thaane
Chalate hain rishwat ke sab
Kaarkhaane sab kaarkhaane
Disha koi bhi ho looteron ka zor hai
Disha koi bhi ho looteron ka zor hai
Gali gali chor hai gali gali chor hai


Yeh topi yeh dhoti yeh kurte pajame
Yeh kurte pajame
Sab inke natak hai sab inke dramein
Sab inke dramein sab inke dramein
Koi inn se keh de garebaan mein jaanke
Dua hai ke khul jaaye dilli ki aankhein
Ladaayi abhi humko rakhni hai jaari
Hai azaadi ab tak adhoori
Hamari adhoori hamari
Siyaasi looteron ka kaisa yeh daur
Siyaasi looteron ka kaisa yeh daur
Gali gali chor hai gali gali chor hai
Gali gali chor hai gali gali chor hai


Burjan hai yeh corruption
Dushamn hai yeh corruption
Apni aayodha mein raavan
Hai yeh corruption
Rail ki patriyon pe daude
Hai yeh corruption
Sacchiayion ke sheeshe
Todhe hai yeh corruption
Jaane kahan se aaya
Kisne yeh seib laya
Kheton mein apni aakhir
Yeh zehar kyun ugaya
Koi haqeem laayo koi dawa pe laayo
Habeez ko baandho
Iss booth ko baandho


Inn brashtachaariyon ko
Dhan ke pujaariyon ko
Pakad ke inn ko jail mein daalo
Desh ko apne inn se bacha lo
Desh ko apne inn se bacha lo
Desh ko apne inn se bacha lo
Gali gali chor hai gali gali chor hai
Corruption corruption
Corruption ka shor hai.