Ek akela is sheher mein song is from and it is sung by .It stars , , and in leading roles. This song is penned by and composed by . It is produced by Bhimsain Khurana. This song was released on 01 Jan 1977.
Hmm hmm hmm
Aa ha ha ha ha


Ek akela is sheher mein
Raat mein aur dopahar mein
Aabodaana dhoondhta hai
Aashiyaana dhoondhta hai


Ek akela is sheher mein
Raat mein aur dopahar mein
Aabodaana dhoondhta hai
Aashiyaana dhoondhta hai
Ek akela is sheher mein


Din khaali khaali bartan hai
Din khaali khaali bartan hai
Aur raat hai jaise andhaa kuaan
In sooni andheri aankhon mein
Aansoo ki jagah aata hai dhuaan
Jeene ki wajah to koi nahin
Marne ka bahaana dhoondhta hai
Dhoondhta hai
Dhoondhta hai


Ek akela is sheher mein
Raat mein aur dopahar mein
Aabodaana dhoondhta hai
Aashiyaana dhoondhta hai
Ek akela is sheher mein
In umr se lambi sadkon ko
In umr se lambi sadkon ko
Manzil pe pahunchte dekha nahin
Bas daudti phirti rehti hain
Hum ne to theherte dekha nahin
Is ajnabee se sheher mein
Jaana pehchaana dhoondhta hai
Dhoondhta hai
Dhoondhta hai


Ek akela is sheher mein
Raat mein aur dopahar mein
Aabodaana dhoondhta hai
Aashiyaana dhoondhta hai
Ek akela is sheher mein
Hmm hmm hmm hmm
Hmm hmm hmm hmm.