Dil Gaya To Gaya Lyrics - Shama | Nimmi | Suraiya | Vijay Dutt | Shamshad
in Movies
Watch the Video
Song Information
Dil gaya to gaya song is from Shama (1961) and it is sung by Shamshad.It stars Nimmi, Suraiya, Vijay Dutt, Kammo in leading roles. This song is penned by Kaifi Azmi and composed by Ghulam Mohammad. It is produced by Kuldeep Sehgal. This song was released on 26 Jul 1961.
Lyrics
Dil gaya to gaya dilruba mil gaya
Dil gaya to gaya dilruba mil gaya
Dil gaya to gaya dilruba mil gaya
Dil gaya to gaya dilruba mil gaya
Aapkaa aasraa mil gaya
Aapkaa aasraa mil gaya
Pyaar ko bhi khudaa
Mil gaya mil gaya
Dil gaya to gaya dilruba mil gaya
Dil gaya to gaya dilruba mil gaya
Chaahta thaa ye nafrat
Kaa mara jahaan
Chaahta thaa ye nafrat
Kaa mara jahaan
Ek hone na paayen
Zameen aasman
Ek hone na paayen
Zameen aasman
Roshni kaa andhere
Mein ghut jaaye dam
Roshni kaa andhere
Mein ghut jaaye dam
Chaand jaane na maane
Chakori kaa gham
Chaand jaane na maane
Chakori kaa gham
Chaand jaane na maane
Chakori kaa gham
Ho ho ho ho ho ho
Phool se door bhanwraa
Padaa tilmilaaye
Phool se door bhanwraa
Padaa tilmilaaye
Shamaa tak ud ke
Parwana aane naa paaye
Shamaa tak ud ke
Parwana aane naa paaye
Ho ho ho ho ho
Kar gayi kaam chupke
Se neechi nazar
Ho gayi dil dhadakne
Ki dil ko khabar
Ho gayi dil dhadakne
Ki dil ko khabar
Ho gayi dil dhadakne
Ki dil ko khabar
Dard ko ek dard
Aashnaa mil gaya
Dard ko ek dard
Aashnaa mil gaya
Dil gaya to gaya
Dilruba mil gaya
Dil gaya to gaya
Dilruba mil gaya
Dil gaya to gaya
Dilruba mil gaya
Le ke armaan ke din
Muraadon ki raat
Gham ki duniyaa mein
Aayi khushi ki baaraat
Hoti jaati hain
Aabaad tanhaiyaa
Dil ke nazdeek bajti
Hain shehnaayiyaan
Dil ke nazdeek bajti
Hain shehnaayiyaan
Dil ke nazdeek bajti
Hain shehnaayiyaan
O o o o o
Ankhdiyon mein lahakne
Lage sau chaman
Ankhdiyon mein lahakne
Lage sau chaman
Aarzuyen bani jaa
Rahin hain dulhan
Zindagi le chali hai
Nayi raah par
Lag na jaaye kahin
Mujhko meri nazar
Lag na jaaye kahin
Mujhko meri nazar
Lag na jaaye kahin
Mujhko meri nazar
Thaa jo qismat mein
Usase siwaa mil gaya
Thaa jo qismat mein
Usase siwaa mil gaya
Dil gaya to gaya dilruba mil gaya
Dil gaya to gaya dilruba mil gaya
Dil gaya to gaya dilruba mil gaya
Aa ke mujhko sajaaye
Sanwaare koi
Goonth de mehki
Zulfon mein taare koi
Reh na jaaye kami
Husn ki shaan mein
Taank do chaand
Kore garebaan mein
Taank do chaand
Kore garebaan mein
Taank do chaand
Kore garebaan mein
Ho tamannaayen
Poori to aaye qubool
Muskaraaye hatheli
Pe mehandi ke phool
Muskaraaye hatheli
Pe mehandi ke phool
Haar naazuk si gardan
Mein dil mein bahaar
Haar naazuk si gardan
Mein dil mein bahaar
Ho mubaarak muhabbat
Ko solah singaar
Ho mubaarak muhabbat
Ko solah singaar
Ho mubaarak muhabbat
Ko solah singaar
Dil gaya to gaya dilruba mil gaya
Dil gaya to gaya dilruba mil gaya
Dil gaya to gaya dilruba mil gaya
Dil gaya to gaya dilruba mil gaya
Aapkaa aasraa mil gaya
Aapkaa aasraa mil gaya
Pyaar ko bhi khudaa
Mil gaya mil gaya
Dil gaya to gaya dilruba mil gaya
Dil gaya to gaya dilruba mil gaya
Dil gaya to gaya dilruba mil gaya
Dil gaya to gaya dilruba mil gaya
Dil gaya to gaya dilruba mil gaya
Dil gaya to gaya dilruba mil gaya.