Saada chiryan da chamba ve baabula ve Saada chiryan da chamba ve baabula Asaan udd jaana, Asaan udd jaana
Saada chiryan da chamba ve baabula Asaan udd jaana, Asaan udd jaana Saada chirya da chamba
Babaji! aap ka khatt mila Yu laga mere ghar se koi aa gaya Aap ka khatt mere hath me hai Aisa lag raha hai Aap mera haath pakde huye hai Chhodna nai
Do din se yahaan baarishen ho rahi hain Aur main ghar main baithi huyi Apne ghar mein baarish bhi kitna nahati thi Amma daandti thi, mujhe aur maza aata tha Aasmaan ki taraf dekh ke kahti thi Allah Sahab, aur baarish bhejo
Yaad hai abba ji, ek din bahut baarish ho rahi thi Aap ko mujhe school chhodna tha Aap ke cycle ke paiye ki hawa nikhal gayi Woh main ne nikhali thi School nahi gayi, aur baarish bhi nahati rahi Bhai hamesha mujh se lar kar Mujhe ghar mein le jaata tha Aur main rothi huyi aa kar aap se lipat jaaya karthi thi
Babaji yahaan koi mujh se ladtha hi nahi Bahot khamoshi hai, main to aap ki laadli thi? Phir mujhe ittni door kyun bhej diya
Amma kaisi hai? Kisko daanti hai? Chidiyon se baatein kaun karta hai? Bakriyon ko chaara kaun daalta? Tumhari pagdi mein kalaf kaun lagaata?
Bohat kuchh likhna chahti hu baabu ji Likkha nahin ja raha Tum sab bohat yaad aate ho Tumhari laadli
Baiti janj buha mal ke Baiti janj buha mal ke Hona main pardes aan bhalke Ghar diyan kunjiyaan saambh le maa ni tu Ghar diyan kunjiyaan saambh le maa Asaan udd jaana Asaan udd jaana
Saada chiryan da chamba
Baaba ji naraaz ho Agar naheen ho to phir apni laadli ko Khatt kyun naheen likkha Bohat sari baatein tumhe batani hai Amma se kahne apni hari chaadar talash karna chhod de Woh main ne chupke se apne bakse mein rakh li Jab amma ki yaad aati hai Main woh chadar soongh leti hoon Aur yoon lagta hai main amma ki baanhon mein
Tumne jo qalam bhai ke paas hone pe usko diya tha Woh bhi main le aayi Ab bhai qalam dhunde ga to mujhe yaad kare ga Tumhari tutti hui ainak bhi apne sath le aayi Saara din sheeshe jodne ki koshish karti rahti hoon Aur tum saamne baithe rahte ho
Baabaji inhi baaton se to mera din kat jaata hai Baabaji kal raat maine ik khawab dekha Tum amma bhai sahn mein baithe Bohat khush nazar aaye Baba ji magar main udaas ho gayi Aam ke ped pe jo mera jhoola tha na Woh nazar nahi aaya
Tum logon ne aisa kyun kiya Usse dalwa do Main ab bhi ussi jhoole par baithti hoon Aur kacche aam tod ke khaane lagti hoon Tum ne achchha nahi kiya baaba ji Tumhari laadli
Ambri baabal veer paye takde Ambri baabal veer paye takde Likhiyan nu oh mor na sakde Tutt gaye saare ajj maan mere Tutt gaye saare ajj maan mere Asaan udd jaana Asaan udd jaana Saada chiryan da chamba Ve babula ve.. Saada chidiyan da chamba Chiriyan da chamba Chiryan da chamba Chiryan da chamba