Aisa dekha naheen khoob-soorat koyi Jism jaise ajanta ki moorat koyi Jism jaise nigaahon pah jaadu koyi Jism naghmah koyi Jism khush-bu koyi
Jism jaise mahakti hui chandani Jism jaise machalti hui raagini Jism jaise kih khilta hua ik chaman Jism jaise kih sooraj ki pahli kiran Jism tarsha huwa dil-kash o dil-nisheen
Sandaleen sandaleen Marmareen marmareen
Husn e jaanaan ki tareef mumkin nahi (x2) Afreen afreen Afreen afreen Tu bhi dekhe agar to kahe ham-nisheen Afreen afreen Afreen afreen Husn e jaanaan ki tareef mumkin nahi (x2)
Jaane kaise baandhe tu ne akhiyon ke dor Man mera khincha chala aaya teri or Mere chehre ke subh zulfon ki shaam Mera sab kuchh hai piya ab se tere naam
Nazron ne teri chhuwa To hai yih jaadu hua Hone lagi hoon main haseen
Aafreen Aafreen Aafreen
Chehra ik phool ki tarh shaadaab hai Chehra us ka hai ya koyi mahtaab hai Chehra jaise ghazal chehra jaan-I ghazal Chehra jaise kali chehra jaise kanwal Chehra jaise tasawwur bhi tasweer bhi
Chehra ik khaab bhi chehra taa’beer bhi Chehra koyi alf lailawi daastaan Chehra ik pal yaqeen chehra ik pal gumaan Chehra jaisa ke chehra kaheen bhi nahi Maah-ru maah-ru mah-jabeen mah-jabeen
Husn e jaanaan ki tareef mumkin nahi (x2) Afreen afreen Afreen afreen Tu bhi dekhe agar to kahe ham-nisheen Afreen afreen Afreen afreen Husn e jaanaan ki tareef mumkin nahi (x2)
Aafreen aafreen Aafreen aafreen Aafreen