Chahnewala Tera Lyrics - Ustad Ahmed Hussain | Ustad Mohammed Hussain | Ahmed Hussain | Mohammed Hussain

2002

Lyrics

Chahnewala tera had se ghuzar jaayega
Chahnewala tera had se ghuzar jaayega
Tune gar dhoka diya usko to mar jaayega
Chahnewala

Tera deewana tere dhyan mein ulja ulja
Tera deewana tere dhyan mein ulja ulja
Woh koi zulf nahi hain jo sanwar jaayega
Woh koi zulf nahi hain jo sanwar jaayega
Tune gar dhoka diya usko to mar jaayega
Chahnewala

Is kadar husn jawaani pe na itraao gafil
Is kadar husn jawaani pe na itraao gafil
Ye woh dariya hai jo kuch din mein utar jayega
Ye woh dariya hai jo kuch din mein utar jayega
Tune gar dhoka diya usko to mar jaayega
Chahnewala

Apne dar par hi pada rehane de deewana hai
Apne dar par hi pada rehane de deewana hai
Utha hasrat jo idhar se to kidhar jaayega
Utha hasrat jo idhar se to kidhar jaayega
Tune gar dhoka diya usko to mar jaayega
Chahnewala.