Ho thukdon mein bikhra andhera Chamka sitara jo tera Ambar pe aa dastkhat kar de Tu ab talak tha adhura Hone hi wala hai pura Hadd se guzar ja tu hadd kar de Hai chaah toh hain rasta Ye jaan le zara Mumkheen nahi hai kya agar Tu thaan le zara
Teri bari hai kamar kasle Tere bas mein hai saare masle Tere toote huay dil ki zameeno pe Himmat ki uga le fasle
Tere haathon mein karam hai tera Aur khun garam hai tera Koi teer nishane se chukhe na Jam ke kadam rakhle
Khud mein tu hathiyar hai Ladne ko taiyaar hai Dhanke ki ek chot ke jaisa
Har tera vaar hai Manzil tujhpe hai fida Tera haafiz hai Khuda Kuch aisa karja ke wo bhi tujhse puche Bande batla de teri marzi hai kya
Har darr ka hata de kohra Taaqat tu ban mohra Har lakshya ko bhed ke dikhla de Arjun ki kahaani dohra
Marham ho haram tera Aur zakhm inaam tera Bheega ho jo tere paseene mein Wohi jeet ka ho chehra
Mana ab hai farsh par Tera haq to hai shikhar Har bhandhan se toot ke Apni manzil pe tu kuch kar Charcha ho is baat ka Duniya ki zubaan par Uppar wale ne banaya hai kya Tere dono haathon ko talwarein pighla kar