बेखयाली bekhayali song is from and it is sung by . Record label of this song is T-Series.It stars , and in leading roles. This song is penned by and composed by . It is produced by Murad Khetani, Bhushan Kumar, Krishan Kumar, Ashwin Varde. This song was released on 05 Jul 2019.
Bekhayali mein bhi tera hi khayal aaye
Kyun bichhadna hai zaroori ye sawal aaye
Teri nazdeekiyon ki khushi behisaab thi
Hisse mein faasle bhi tere bemisal aaye

Main jo tumse door hu
Kyun door main rahu
Tera guroor hu
Aa tu faasla mita
Tu khwaab sa mila
Kyun khwaab tod du

Bekhayali mein bhi tera hi khayal aaye
Kyun judaai de gaya tu, ye sawal aaye
Thoda sa main khafa ho gaya apne aap se
Thoda sa tujhpe bhi bewajah hi malaal aaye

Hai ye tadpan, hai ye uljhan
Kaise jee lu bina tere
Meri ab sab se hai ann-ban
Bante kyun ye Khuda mere

Ye jo log-baag hain
Jungle ki aag hain
Kyun aag mein jalu…
Ye nakaam pyaar mein
Khush hain haar mein
Inn jaisa kyun banu…

Raatein dengi bata
Neendon mein teri hi baat hai
Bhoolun kaise tujhe
Tu toh khayalon mein saath hai

Bekhayali mein bhi tera hi khayal aaye
Kyun bichhadna hai zaroori ye sawal aaye

Nazar gira de har ik manzar
Ret ki taraha bikhar raha hai
Dard tumhaara badan mein mere
Zeher ki taraha utar raha hai

Nazar gira de har ik manzar
Ret ki taraha bikhar raha hai
Dard tumhaara badan mein mere
Zeher ki taraha utar raha hai

Aa zamaane aazma le roothta nahin
Faaslon se hausla ye tut’ta nahin
Naa hai woh bewafa aur na main hu bewafa
Woh meri aadato ki taraha chhoot’ta nahi.