Jise zindagi dhoondh rahi hai Kya yeh woh makaam mera hai Yahan chain se bas ruk jaaoon Kyun dil yeh mujhe kehta hai Jazbaat naye se mile hain Jaane kya asar yeh hua hai Ik aas mili phir mujhko Jo kubool kisi ne kiya hai
Haan.. kisi shayar ki ghazal Jo de rooh ko sukun ke pal Koi mujhko yoon mila hai Jaise banjaare ko ghar Naye mausam ki sehar Ya sard mein do-pahar Koi mujhko yoon mila hai Jaise banjaare ko ghar Hmm…
Jaise koi kinaara, deta ho sahara Mujhe woh mila kisi mod par.. Koi raat ka tara, karta ho ujala.. Vaise hi roshan kare wo shehar Dard mere woh bhula hi gaya Kuchh aisa asar hua
Jeena mujhe phir se woh sikha rahaa..
Hmm.. jaise barish kar de tar Ya marham dard par Koi mujhko yoon mila hai Jaise banjaare ko ghar Naye mausam ki sehar Ya sard mein do-pahar Koi mujhko yoon mila hai Jaise banjaare ko ghar
Muskaata yeh chehra, deta hai jo pehra Jaane chhupaata kya dil ka samandar Auron ko to hardam saaya deta hai Woh dhoop mein hai khada khud magar Chot lagi hai use phir kyun Mehsoos mujhe ho raha Dil tu bata de kya hai irada tera..
Hmm.. Main parinda besabar Thha udaa jo dar-badar Koi mujhko yoon mila hai Jaise banjaare ko ghar Naye mausam ki sehar Ya sard mein do-pahar Koi mujhko yoon mila hai Jaise banjaare ko ghar (4x)