bahaar aa_ii khilii kaliyaaN Lyrics - Nimmi | Premnath | Vijay Kumar | Lata Mangeshkar

1953

Lyrics

bahaar aa_ii, khilii kaliyaan, hanse taare, chale aao
hamen jiine nahiin dete ye nazaare, chale aao
bahaar aa_ii khilii kaliyaan
zubaan par aah ban-ban ke tumhaaraa naam aataa hai
muhabbat men tumhiin jiite, hamiin haare, chale aao
hamen jiine nahiin dete
kahiin aisaa na ho dil kii lagii dil hii ko le duube
bujhaa_e se nahiin bujhate ye angaare chale aao
hamen jiine nahiin dete