Bachpan Ki Mohabbat Ko Lyrics - Meena Kumari | Bharat Bhushan | Bhagwan | Lata Mangeshkar

1952

Lyrics

Ho ji ho
Bachpan ki mohabbat ko dil se na juda karna
Bachpan ki mohabbat ko dil se na juda karna
Jab yaad meri aaye milne ki dua karna
Bachpan ki mohabbat ko dil se na juda karna
Jab yaad meri aaye milne ki dua karna
Ghar meri ummeedon ka soona kiye jaate ho
Ho ji ho
Duniya hi mohabbat ki loote liye jaate ho
Jo gham diye jaate ho, us gham ki dawa karna
Bachpan ki mohabbat ko dil se na juda karna
Jab yaad meri aaye milne ki dua karna
Sawan mein papiha ka sangeet churaaungi
Fariyad tumhein apni ga-ga kar sunaaungi
Awaz meri sun ke dil thaam liya karna
Bachpan ki mohabbat ko dil se na juda karna
Jab yaad meri aaye milne ki dua karna