Parbaton pe baadalon ki zulf khul gayiOas jagmagaayi shaakh shaakh dhul gayiJaage nazaare, jaagi bahaareinJaage zameen aasmaanAur hum tum, aur hum tum, aur hum tumThandi hawaayein, ujli fizaayeinMaheka hua yeh samaAur hum tum, aur hum tum, aur hum tumGaata hai mausam, gaate hain panchhiGaati hain yeh vaadiyaanAur hum tum, aur hum tum, aur hum tumPhool ko koi kiran jo choomne lagiZindagi bahaar banke jhoomne lagiPhool ko koi kiran jo choomne lagiZindagi bahaar banke jhoomne lagiRaahon mein rangon aur khushbuon keNikle haseen kaarwaanAur hum tum, aur hum tum, aur hum tum
Thandi hawaayein, ujli fizaayeinMaheka hua yeh samaAur hum tum, aur hum tum, aur hum tumHo gayi hai reshmi yeh narm roshniSaans mein ghula hua hai geet sa koiHo gayi hai reshmi yeh narm roshniSaans mein ghula hua hai geet sa koiKhoyi dishaayein, khoyi hain raaheinKhoye hai saare nishaanAur hum tum, aur hum tum, aur hum tumThandi hawaayein, ujli fizaayeinMaheka hua yeh samaAur hum tum, aur hum tum, aur hum tumGaata hai mausam, gaate hain panchhiGaati hain yeh vaadiyaanAur hum tum, aur hum tum, aur hum tum.