Angdai par angdai leti song is from and it is sung by . This song is penned by and composed by . This song was released on 01 Jan 2018.
Angdai par angdai leti
Hai raat judai ki
Angdai par angdai leti
Hai raat judai ki
Tum kya samjho tum kya
Jano baat meri tanhayi ki


Kaun siyahi ghol raha tha
Waqt ke behte dariya mein
Waqt ke behte dariya mein
Maine aankh jhuki dekhi
Hai aaj kisi harji ki
Tum kya samjho tum kya
Jano baat meri tanhai ki


Wasl ki raat na jane kyu
Israar tha unko jane par
Israar tha unko jane par
Waqt se pehle dhub gaye
Taaro ne badi danai ki
Tum kya samjho tum kya
Jano baat meri tanhayi ki


Udte udte aas ka panchi
Door ufaq me doob gaya
Door ufaq me doob gaya
Rote rote baith gayi
Aawaz kisi saudai ki
Angdai par angdai leti
Hai raat judai ki
Tum kya samjho tum kya
Jano baat meri tanhayi ki.