LyricsTashan

अफ़साने Afsanay Lyrics - Talhah Yunus | Talha Anjum

in Album Songs

Watch the Video

Song Information

अफ़साने afsanay song is sung by and . Record label of this song is Young Stunners. This song is written by . It is produced by Hassaan Khan. This song was released on 26 Mar 2021.
DOP/Edit/VFX/Colorist: Mahad Ali Sajid
Cast: Talha Anjum, Talhah Yunus, Syeda Mayra Jaffri, Naveed Majid & Ayesha Naveed
Assistant Director: Muhammad Saad Naseem
Assistant Director & BTS: Hassam Anwar
Art Director: Naveed Majid

Lyrics

Afsanay ab likhta nahi hoon
Main duniya ko dikhta nahi hoon
Mat pucho main kitna sahi hoon
Kyun ek jagah tikta nahi hoon

Basar karte hain tere dil mein
Asar hai to shikwa kare kyun
Zikar hota hai har mehfil mein
Woh chahte par dikhta nahi hoon

Afsanay ab likhta nahi hoon
Main duniya ko dikhta nahi hoon
Mat pucho main kitna sahi hoon
Kyun ek jagah tikta nahi hoon

Basar karte hain tere dil mein
Asar hai to shikwa kare kyun
Zikar hota hai har mehfil mein
Woh chahte par dikhta nahi hoon

If i were you and you were me
I would forgive you
Jaise tu ho ek surang mein
Uske end mein tujhko roshni dikhi
Thats how i see you
Khud ko meri nazar se dekh
If i were you and you were me
Mein aisa toot-ta ke toot’te hain taare kya
Woh aaj bhi hai muntazir
Mukhtasir ek mulaqat ka phir kabhi mil payein na

Dil doobe aur manzil lage door bohat
Urooj se zawaal dekhein hain noor bohat
Na tere haath mein zindagi aur na hi maut
Mere haath mein hai kalam qallaa aur shauk

Har khof se azaad kardo meri zaat ko
Kismato se paak kardo mere haath ko
Jis hisaab se rakha hai dil pe bojh mere
Jaise karma peechay pada hai haath dho

Gaane gaye bohat dil dukhaye bohat
Na tumhein aye sharam na humein aaye maut
Main sane hoon is minute next minute i’m psycho
Industry kare follow brands go where i go

Ye mera flex nai hain life hain
Send my cheque mujhe baat cheet nai chahiye
I got bills mard ke alag hote kayde
Agar kamate nai mard ho tum kaay ke
Future dikhta nai hai future is what i say
Woh saath khayen kehna padta nai woh bhai the
I do or die for the gang
Bina likhat padhat ke kiye huye hain ye muhaaiday
Saal gira tab bhi khara tha mein mic pe
Gawah yaar rawadaar mere saath
Rahe sada abaad ye awaaz
I rap for a purpose ye career ek cause

You expect me to be perfect
And i’m just full of flaws
Kaise likhta hu ye verses kya karta hoon mehsoos
Mein binna taj ka badshah got nothing to lose
I’m crossing lines just to cancel out the booze

Ab na dil se nikle aarzoo
Jab se dil se nikli aaj tu
Dil tha mera goshala e sakoon ek
Kyun bana gayi hai ise bazaar tu

Afsanay ab likhta nahi hoon
Main duniya ko dikhta nahi hoon
Mat pucho main kitna sahi hoon
Kyun ek jagah tikta nahi hoon

Basar karte hain tere dil mein
Asar hai to shikwa kare kyun
Zikar hota hai har mehfil mein
Woh chahte par dikhta nahi hoon

Afsanay ab likhta nahi hoon
Main duniya ko dikhta nahi hoon
Mat pucho main kitna sahi hoon
Kyun ek jagah tikta nahi hoon

Basar karte hain tere dil mein
Asar hai to shikwa kare kyun
Zikar hota hai har mehfil mein
Woh chahte par dikhta nahi hoon

Dil mein sawaal bade biche hue jaal bade
Meri misaal chalen chahte saare chaal chalen
Thappad ye gaal pe industry poori paal te re
Laya kitaab jo tum khol ke sirf chaapte re

Talwe mere chaat te rahe paisa nai woh daad de re
Dekhe nai halaat mere yaaron ne jo khwab dekhe
Poore karu aaj ab is haath mein woh aag bete
Paise mein woh baat nai jo izzat meri aaj bete

Ye imtihaan kaisa suraj nai par chaand dekha
Likhari jaan leva urdu rap ko saans deta
Kaise ladun jung sab waakif hain ye medaan mera
Rap meri jaan main karachi ke liye jaan de raha

Ye ladke likhte mujhe dikhte apne bars bhai
Darta nai gir ne se bas duniya se naraaz bhai
Aaine ko tod de yun jodte alfaaz bhai
Lafz kaise tolte jab bhaari ye awaaz bhai
Dil mera saaf main industry ka woh raaz bhai
Darte mujhse aaj bhi shaheen ata baaz nai
Bhai full pachaas tola jaane khola haath nahi
Kaagaz ko main aag doon pichwade inke rakh bhai

Sar apna noch rahe hum sote ve bhi soch rahe
Khwabon mein bhi apno ke khushi ke aansu poch rahe
I ain’t a role model aaj bhi on the road way
Underground ko laya mainstream wale shows mein

Deal hoti close uthte sath mujhe hosh nai
Industry mere lun pe par nai woh meri dost nai
Rozi roti likhi upar wale ne afsos nai
Dar te nai hum maut se musafir marte roz bhai

I ask god why you made fear
Sab rona chahte but we hate tears
I’m never sober but i stay clear
Samajh se baar main jaise shakespeare

Arse se khayi nai roti maa ke haath ki
Taaron ko naam doon tu dekh meri saadgi
Dushman ko bhi kaam doon kaise hogi barabari
Log meri mehnat ka phal khana chahte aaj bhi

Ye baatein nahi kagzi main khud ko deta daad bhai
Sach se duniya bhaagti aur main sirf sach ke saath bhai
Highest in the room mujh tak pohanchenge kya khaak bhai
Har gaane ki main dhun sirf beaton se karta baat aey

Afsanay ab likhta nahi hoon
Main duniya ko dikhta nahi hoon
Mat pucho main kitna sahi hoon
Kyun ek jagah tikta nahi hoon

Basar karte hain tere dil mein
Asar hai to shikwa kare kyun
Zikar hota hai har mehfil mein
Woh chahte par dikhta nahi hoon

Afsanay ab likhta nahi hoon
Main duniya ko dikhta nahi hoon
Mat pucho main kitna sahi hoon
Kyun ek jagah tikta nahi hoon

Basar karte hain tere dil mein
Asar hai to shikwa kare kyun
Zikar hota hai har mehfil mein
Woh chahte par dikhta nahi hoon.

Related Songs

More songs
More songs of Talhah Yunus
More songs of Talha Anjum