Aawaaz De Kahaan Hai Lyrics - Suraiya | Leela Mishra | Surendra | Noor Jehan | Surendra Nath

1946

Lyrics

Aawaaz de kahaan hai
Duniyaa meri jawaan hai
Aabaad mere dil mein
Ummeed kaa jahaan hai
Duniyaa meri jawaan hai
Aawaaz de kahaan hai

Aa raat jaa rahi hai yoon
Jaise chaandni ki
Baaraat jaa rahi hai
Aa raat jaa rahi hai yoon
Jaise chaandni ki
Baaraat jaa rahi hai
Chalne ko ab falak se
Taaron kaa kaarwaan hai
Chalne ko ab falak se
Taaron kaa kaarwaan hai
Aise mein tu kahaan hai
Duniyaa meri jawaan hai
Aawaaz de kahaan hai

Kismat pe chhaa rahi hai
Kyun raat ki siyaahi
Kismat pe chhaa rahi hai
Kyun raat ki siyaahi
Veeraan hai meri neenden
Taaron se le gawaahi
Veeraan hai meri neenden
Taaron se le gawaahi
Barbaad main yahaan hoon
Aabaad tu kahaan hai
Barbaad main yahaan hoon
Aabaad tu kahaan hai
Bedard aasmaan hai
Duniyaa meri jawaan hai
Aawaaz de kahaan hai
Aawaaz de kahaan hai.