Aansu Na Baha Lyrics - Guru Ghantal | Pran | Meena Kumari | Helen | Mohammed Rafi
in Movies
Watch the Video
Song Information
Aansu na baha song is from Guru Ghantal (1956) and it is sung by Mohammed Rafi.It stars Pran, Meena Kumari, Helen, Ajit in leading roles. This song is penned by Pandit Gaafil and composed by Lachhiram Tamar. It is produced by Homi Wadia. This song was released on 01 Jan 2018.
Lyrics
Aansu na baha kar yaad use
Jo is sansar ka nata hai
Jo is sansar ka nata hai
Mayus na ho is duniya ke
Jo bigde kaam banata hai
Wo bigde kaam banata hai
Rakh aash usi par tu bande
Rakh aash usi par tu bande
Kashti ko bhawar mein jane de
Kashti ko bhawar mein jane de
Phir dekh teri naiya ko
Wo kaise paar lagata hai
Wo kaise paar lagata hai
Jo hota hai tu hone de
Anhoni bat na hogi kabhi
Na hogi kabhi
Jo unke sahare jite hai
Wo unki laaz bachata hai
Wo unki laaz bachata hai
Hai mann mein sacha pyar agar
To milega mann ka meet tujhe
Wo jeevan ki phulwari mein
Aasha ke phool khilata hai
Jo unke sahare jite hai
Wo unki laaz bachata hai
Wo unki laaz bachata hai
Aansu na baha kar yaad use
Jo is sansar ka nata hai.