Aaj ki raat mohabbat hai jawan song is from and it is sung by .It stars , , , in leading roles. This song is penned by and composed by . This song was released on 01 Jan 1948.
Aaj ki raat mohabbat hai jawan, aaj ki raat
Aaj ki raat mohabbat hai jawan
Koi dekhe meri duniya ka sama
Koi dekhe meri duniya ka sama, aaj ki raat
Aaj ki raat mohabbat hai jawan
Aaj ki raat mohabbat hai jawan, aaj ki raat

Koi aayega yahan pyar ki duniya lekar
Koi aayega yahan pyar ki duniya lekar
Dil mein armaan to aankhon mein tamnna lekar
Dil mein armaan to aankhon mein tamnna lekar
Muskurayega mohabbat ka jahan
Muskurayega mohabbat ka jahan, aaj ki raat
Aaj ki raat mohabbat hai jawan
Aaj ki raat mohabbat hai jawan, aaj ki raat

Jab sunayega mohabbat ka fasana koi
Jab sunayega mohabbat ka fasana koi
Pyar mein dooba hua dil ka tarana koi
Pyar mein dooba hua dil ka tarana koi
Do dil ho jaayenge phir ek yahan
Do dil ho jaayenge phir ek yahan, aaj ki raat
Aaj ki raat mohabbat hai jawan
Aaj ki raat mohabbat hai jawan, aaj ki raat

Raat yeh pyar ki hai iska savera na ho
Raat yeh pyar ki hai iska savera na ho
Aaj ke chaand ki kismat mein andhera na ho
Aaj ke chaand ki kismat mein andhera na ho
Aaj ki raat rahe yoon hi jawan
Aaj ki raat rahe yoon hi jawan, aaj ki raat
Aaj ki raat mohabbat hai jawan
Aaj ki raat mohabbat hai jawan, aaj ki raat