Baithe hain rahaguzar par dil kaa diyaa jalaaye song is from and it is sung by .It stars , , , in leading roles. This song is penned by and composed by . It is produced by Zar. This song was released on 01 Jan 2018.
baithe hain rahaguzar par dil kaa diyaa jalaaye
shaayad vo dard jaane, shaayad vo laut aaye
baithe hain rahaguzar par
aakaash par sitaare chal chal ke tham ga_e hain
shabanam ke sard aansuu phuulon pe jam ga_e hain
ham par nahiin kisii par ai kaash raham khaaye
shaayad vo dard jaane, shaayad vo laut aaye
baithe hain rahaguzar par
raahon men kho ga_ii hain hasarat bharii nigaahen
kab se lachak rahii hain aramaan kii narm baahen
har mod par tamannaa aahat usii kii paaye
shaayad vo dard jaane, shaayad vo laut aaye
baithe hain rahaguzar par