Zindagi pyar hai song is from and it is sung by , and .It stars , and in leading roles. This song is penned by and composed by . It is produced by Pahlaj Nihalani. This song was released on 18 Mar 1988.
Zindagi pyar hain pyar hain zindagi
Zindagi pyar hain pyar hain zindagi
Apni sanso mein isko basalo
Zindagi khwab hai khwab hain zindagi
Apni aakho mein isko sajalo
Zindagi dard hai dard hain zindagi
Dard se apna dil ka daman bachalo
Zindagi pyar hain pyar hain zindagi
Apni sanso mein isko basalo


Dard mein chain nahin aasuo mein haasi
Gum ke pichhe bhi koi khushi hai
Pyar ki rah mein do kadam jab chale
Zindagi kya se kya ho gayi
Aisi rahe bhi hain jinki manzil nahin
Aisi rahe bhi hain jinki manzil nahin
Aisi raho se nazre hatalo
Zindagi pyar hain pyar hain zindagi
Apni sanso mein isko basalo


Zindagi hai safar hum safar wo bane
Sath ye mar ke bhi jo nibhaye
Sans tute magar sath chhute nahin
Zindagi mein wo sapne sajaye
Aise sapne bhi hain jo kabhi sach na ho
Aise sapne bhi hain jo kabhi sach na ho
Aise sapno se aankhe churalo
Zindagi khwab hain khwab hain zindagi
Apni aakho mein isko sajalo


Zindagi mein jaha ho andhere waha
Dhundhne se mile na ujala
Pyar roshan kare har andheri dagar
Pyar se zindagi jagmagale
Pyar ka ye diya dil mein jalta rahe
Pyar ka ye diya dil mein jalta rahe
Jyot dil ki dil se mila lo
Zindagi pyar hain pyar hain zindagi
Apni sanso mein isko basalo
Zindagi khwab hai khwab hain zindagi
Apni aakho mein isko sajalo.