Lafz kitne hi Tere pairon se lipte honge Tune jab aakhiri khat Mera jalaaya hoga
Tune jab phool Kitaabon se nikaale honge Dene wala bhi tujhe Yaad toh aaya hoga
Teri aankhon ke dariya ka Utarna bhi zaroori tha Mohabbat bhi zaroori thi Bichhadna bhi zaroori tha Zaroori tha ki Hum dhono tawaaf-e-arzoo karte
Magar phir aarzoo ka Bikharna bhi zaroori tha Teri aankhon ke dariya ka Utarna bhi zaroori tha
Bataao yaad hai tumko Woh jab dil ko churaaya tha Churaai cheej ko tumne Khudaa ka ghar banaya tha
Woh jab kehte the Mera naam tum tasbih Mein padhte ho Mohabbat ki namaajo ko
Kara karne se darte ho
Magar ab yaad aata hai Wo baatein thi mehaz baatein Kahin baaton hi baaton mein Mukarna bhi zaroori tha Teri aankhon ke dariya ka Utarna bhi zaroori tha
Wahi hai soorate apni Wahi main hoon, wahi tum ho Magar khoya huaa hoon main Magar tum bhi kahin gum ho
Mohabbat mein dagaa ki thi So kafir the so kafir hain Mili hain manzilein phir bhi Musaafir the, musafir hain
Tere dil ke nikaale hum Kahaan bhatke, kahan pahunche Magar bhatke toh yaad aaya Bhatkna bhi zaruri tha Mohabbat bhi zaroori thi Bichhadna bhi zaroori tha Zaroori tha ki Hum dono tawaaf-e-arzoo karte
Magar phir aarzoo ka Bikharna bhi zaroori tha Teri aankhon ke dariya ka Utarna bhi zaroori tha