Yunhi Tum Mujhse Lyrics - Sachaa Jhutha | Mohammed Rafi | Lata Mangeshkar
in Movies
Watch the Video
Song Information
Yunhi tum mujhse song is from Sachaa Jhutha and it is sung by Mohammed Rafi and Lata Mangeshkar. This song is penned by Indeevar (Shyamalal Babu Rai) and composed by Kalyanji-Anandji. This song was released on 03 Oct 2008.
Lyrics
Yunhi tum mujhse baat karti ho
Yunhi tum mujhse baat karti ho
Yunhi tum mujhse baat karti ho
Ya koyi pyar ka iraada hai
Adaayein dil ki jaanta hi nahi
Adaayein dil ki jaanta hi nahi
Mera humdum bhi kitna saada hai
Yunhi tum mujhse baat karti ho
Roz aati ho tum khayalon mein
Roz aati ho tum khayalon mein
Zindagi mein bhi meri aa jao
Beet jaayein na yeh sawalon mein
Iss jawani pe kuchh taras khao
Haal-e-dil samjho sanam
Haal-e-dil samjho sanam
Kahenge munh se na hum
Humari bhi koyi maryada hai
Adaayein dil ki jaanta hi nahi
Mera humdum bhi kitna saada hai
Yunhi tum mujhse baat karti ho
Bholepan mein hai wafaa ki khushbu
Bholepan mein hai wafaa ki khushbu
Tujh pe sab kuchh na kyun lutaun main
Mera betaab dil yeh kehta hai
Tere saye se lipat jaaun main
Mujhse yeh mel tera
Mujhse yeh mel tera
Na ho ek khel tera
Yeh karam mujhpe kuchh zyada hai
Yunhi tum mujhse baat karti ho
Ya koyi pyar ka iraada hai
Adaayein dil ki jaanta hi nahi
Ban gayi ho meri sada ke liye
Ban gayi ho meri sada ke liye
Ya mujhe yunhi tum banati ho
Kahin baahon mein na bhar loon tumko
Kyun mere hausle badhati ho
Hausle aur karo, hausle aur karo
Paas aake na daro
Dil na todenge apna vaada hai
Yunhi tum mujhse baat karti ho
Ya koyi pyar ka iraada hai
Adaayein dil ki jaanta hi nahi
Mera humdum bhi kitna saada hai
Yunhi tum mujhse baat karti ho