Yeh raat bheegi bheegi ye mast fizayein Utha dheere dheere wo chaand pyara pyara (x2)
Kyun aag si lagake ghumsum hai chandni Sone bhi nahi deta mausam ka ye ishara
Ithlaati hawa neelam sa gagan Kaliyon pe ye behoshi ki naami Aise mein bhi kyun bechain hai dil Jeevan mein na jaane kya hai kami
Kyun aag si laga ke ghumsum hai chandni Sone bhi nahi deta mausam ka ye ishara
Yeh raat bheegi bheegi ye mast fizayein Utha dheere dheere wo chaand pyara pyara
Jo din ke ujaale mein na mila Dil dhoondhe aise sapne ko Iss raat ki jagmag mein doobi
Main dhundh rahi hoon apne ko
Yeh raat bheegi bheegi ye mast fizayein Utha dheere dheere wo chaand pyara pyara
Kyun aag si laga ke ghumsum hai chandni Sone bhi nahi deta mausam ka ye ishara
Aise mein kahi kya koi nahi Bhoole se jo humko yaad kare Ik halki si muskaan se jo Sapno ka jahaan aabaad kare
Yeh raat bheegi bheegi yeh mast fizayein Utha dheere dheere wo chaand pyara pyara Kyun aag si laga ke ghumsum hai chandni Sone bhi nahi deta mausam ka ye ishara
Yeh raat bheegi bheegi.. Mausam ka ye ishara