Ye Faasala Jo Pada Hai Lyrics - Ghulam Ali
in Movies
Watch the Video
Song Information
Ye faasala jo pada hai song is from Saadgee (Ghulam Ali) (1994) and it is sung by Ghulam Ali. This song was released on 01 Jan 2018.
Lyrics
ye faasla jo pada hai mere gumaa mein na tha
ke abki baar zamaana bhi darmiyaa mein na tha

koi bhi nazm-e-chaman ho ye hamne dekha hai

sahar ka nagma-sara shaam-e-aashiyaa mein na tha
ke abki baar zamaana bhi darmiyaa mein na tha
ye faasla jo pada hai mere gumaa mein na tha
ke jiske haath mein patthar kamaa mein tir na ho

koi bhi aisa mere shahar-e-meharbaan mein na tha
ke abki baar zamaana bhi darmiyaa mein na tha
ye faasla jo pada hai mere gumaa mein na tha
duaaen maine hi maangi thi rut badalne ki

faraaz mera nasheman hi gulasitaan mein na tha