Patta patta boota boota song is sung by . This song was released on 10 Nov 2019.
patta patta boota boota, haal humara jaane hai
jaane na jaane, gul hi na jaane
baag to saara jaane hai
patta patta jaane hai, boota boota jaane hai
aashiq sada, sada koyi aur na hoga duniya mein
jeeke jain ko ishq mein uske, apna waara jaane hai
patta patta jaane hai, boota boota
chaurgari bimaari ye dil ki, rasme sahar ye husn nahi
warna dilbar, nadan bhi, is dard ka chaura jaane hai
patta patta jaane hai, boota boota jaane hai
kya kya fitne sar par uske, laata hai maashuq apna
jispe dil pe taabo taapo, ishq ka maara jaane hai
patta patta jaane hai, boota boota jaane hai
patta patta boota boota, haal humara jaane hai