Wo Koi Aur Na Tha Lyrics - Ustad Ghulam Ali
in Movies
Watch the Video
Song Information
Wo koi aur na tha song is from Parchhaiyan (1997) and it is sung by Ustad Ghulam Ali. This song is penned by Ahmed Nadeem Qasmi and composed by Ustad Ghulam Ali. This song was released on 01 Jan 2018.
Lyrics
Wo koi aur na tha chand khushq patte the

Shajar se tut ke jo fasl e gul pe roye the

Abhi abhi tumhe socha to kuchh na yaad aaya

Abhi abhi to ham ik dusre se bichhade the
Shajar se tut ke jo fasl e gul pe roye the
Wo koi aur na tha chand khushq patte the
Tamaam umr wafa ke gunahagar rahe
Tamaam umr wafa ke gunahagar rahe
Ye aur baat ke ham aadami to achhe the
Shajar se tut ke jo fasl e gul pe roye the
Wo koi aur na tha chand khushq patte the
Nadim jo bhi mulaqat thi adhuri thi
Nadim jo bhi mulaqat thi adhuri thi
Ke ek chehare ke pichhe hazaar chehare the