Ulfat Ka Jab Kisi Ne Lyrics - Jagjit Singh

1994

Lyrics

Ulfat ka jab kisi ne liya naam ro pade
Ulfat ka jab kisi ne liya naam ro pade
Apni wafa ka soch ke anjam ro pade
Ulfat ka jab kisi ne liya naam ro pade

Har sham ye sawal mohabbat se kya mila
Har sham ye sawal mohabbat se kya mila
Har sham ye jawab ke har sham ro pade
Ulfat ka jab kisi ne liya naam ro pade

Raah-e-wafa mein humko khushi ki talash thi
Raah-e-wafa mein humko khushi ki talash thi
Do gaam hi chale the ke har gaam ro pade
Ulfat ka jab kisi ne liya naam ro pade

Roa naseeb mein hai to auro se kya gila
Roa naseeb mein hai to auro se kya gila
Apne hi sar liya koi ilzaam ro pade
Ulfat ka jab kisi ne liya naam ro pade.