Tumhara Pyar Lyrics - Kanch Ki Gudiya | Manoj Kumar | Shubha Khote | Tarun Bose | Asha Bhosle
in Movies
Watch the Video
Song Information
Tumhara pyar song is from Kanch Ki Gudiya (1961) and it is sung by Asha Bhosle.It stars Manoj Kumar, Shubha Khote, Tarun Bose, Leela Chitnis in leading roles. This song is penned by Shailendra (Shankardas Kesarilal) and composed by Suhrid Kar. This song was released on 01 Jan 2018.
Lyrics
Tumhara pyar meri
Zindgani ka sahara hai
Tumhi ne muskurake
Meri kismat ko sawara hai
Tumhara pyar meri
Zindgani ka sahara hai
Tumhi ne muskurake
Meri kismat ko sawara hai
Tumhara pyar
Mere khwabo mein jitne rang hai
Tumne bikhere hai
Mere khwabo mein jitne rang hai
Tumne bikhere hai
Tumhare dam se meri raah mein
Khushiyo ke fere hai
Meri in dhadkano mein tum ho
Aur dil bhi tumhara hai
Tumhi ne muskurake
Meri kismat ko sawara hai
Tumhara pyar
Tumhare sath do ghadiya
Kahi wo ankahi baate
Kahi wo ankahi baate
Tumhare sath do ghadiya
Kahi wo ankahi baate
Mera ji chahta hai laut
Aaye phir se wo raate
Na puchho maine kaise har din
Muskil mein guzara hai
Tumhi ne muskurake
Meri kismat ko sawara hai
Tumhara pyar
Mohabbat ke khushi ke phul
Daman mein chhupaye hu
Mohabbat ke khushi ke phul
Daman mein chhupaye hu
Chale aao chale aao
Tumhari raah mein palke bichhaye hu
Machalti raat mein ghabhra ke
Phir tumko pukara hai
Tumhi ne muskurake
Meri kismat ko sawara hai
Tumhara pyar.