LyricsTashan

Tum To Thehre Pardesi Lyrics - Altaf Raja

in Movies

Watch the Video

Song Information

Tum to thehre pardesi song is from and it is sung by .It stars and in leading roles. This song is penned by and composed by . This song was released on 01 Jan 2018.

Lyrics

Tum toh thehre pardesi
Tum toh thehre pardesi saath kya nibahaaoge
Tum toh thehre pardesi saath kya nibhaaoge
Tum toh thehre pardesi saath kya nibhaaoge


Tum toh thehre pardesi saath kya nibahaaoge
Tum toh thehre pardesi saath kya nibhaaoge
Tum toh thehre pardesi saath kya nibhaaoge
Subaha pehli
Subaha pehli
Subaha pehli gaadi se ghar ko laut jaaoge
Subaha pehli gaadi se ghar ko laut jaaoge
Tum toh thehre pardesi saath kya nibhaaoge


Jab tumhein akele mein meri yaad aayegi
Jab tumhein akele mein meri yaad aayegi
Khichein khichein hue rahetin ho kyon
Khichein khichein hue rahetin ho dhyan kiska hain
Zara batao toh yeh imtihaan kiska hain
Hamein bhula do magar yeh to yaad hi hoga
Hamein bhula do magar yeh to yaad hi hoga
Nayi sadak pe purana makaan kiska hain


Jab tumhein akele mein meri yaad aayegi
Jab tumhein akele mein meri yaad aayegi
Aasuon ki
Aasuon ki
Aasuon ki baarish mein tum bhi bheeg jaaoge
Aasuon ki baarish mein tum bhi bheeg jaaoge
Tum toh thehre pardesi saath kya nibahaaoge


Gam ke dhup mein dil ki hasratein na jal jaaye
Gam ke dhup mein dil ki hasratein na jal jaaye
Tujhko yeh tujhko dekhenge sitaarein toh ziya maangenge
Tujhko dekhenge sitaarein toh ziya maangenge
Aur pyaase teri julfo se ghata maangenge
Apne kaandhe se duppata na sarakne dena
Warna budhe bhi jawani ki duwa maangenge
Imaan se


Gam ke dhup mein dil ki hasratein na jal jaaye
Gam ke dhup mein dil ki hasratein na jal jaaye
Kesuwo ke
Kesuwo ke
Kesuwo ke ke saaye mein kab hamein sulaaoge
Kesuwo ke  ke saaye mein kab hamein sulaaoge
Tum toh thehre pardesi saath kya nibahaaoge


Mujhko katla kar daalo shauk se magar socho
Mujhko katla kar daalo shauk se magar socho
Is shehare namuraad ki izzat karega kaun
Arey ham hi chale gaye toh mohabbat karega kaun
Is ghar ki dekhbhal ko viraaniyan to hu
Is ghar ki dekhbhal ko viraaniyan to hu
Jaale hata diye toh hifazat karega kaun


Mujhko katla kar daalo shauk se magar socho
Mujhko katla kar daalo shauk se magar socho
Mere baad
Mere baad
Mere baad tum kispar yeh bijliya giraaoge
Mere baad tum kispar yeh bijliya giraaoge:
Tum toh thehre pardesi saath kya nibahaaoge


Yu toh zindagi apni maikade mein guzri hain
Yu toh zindagi apni maikade mein guzri hain
Ashko mein husno rang samota raha hu main
Ashko mein husno rang samota raha hu main
Aanchal kisika thaam ke rota raha hu main
Nikhra hain jaake ab kahi chehra shahur ka
Nikhra hain jaake ab kahi chehra shahur ka
Barso ise sharab se dhota raha hu main
Yu toh zindagi apni maikade mein guzri hain


Behki hui bahaar ne peena sikha diya
Badmast bargo baar ne peena sikha diya
Peeta hu is garaj se ke jeena hain chaar din
Peeta hu is garaj se ke jeena hain chaar din
Marne ke intejaar ne peena sikha diya
Yu toh zindagi apni maikade mein gujri hain


Yu toh zindagi apni maikade mein gujri hain
In nashili
In nashili
In nashili aankhon se kab hamein peelaaoge
In nashili aankhon se kab hamein peelaaoge
Tum toh thehre pardesi saath kya nibahaaoge


Kya karoge tum aakhir kabra par meri aakar
Kya karoge tum aakhir kabra par meri aakar
Kya karoge tum aakhir kabra par meri aakar
Kyon ke jab tumse itefaakan jab tumse itefaakan
Meri nazar mili thi ab yaad aa raha hain
Shayad woh janwary thi


Tum yu mili dubara phir maahe farwary mein
Jaise ke hamsafar ho tum raahein zindagi mein
Kitna hasi zamana aaya tha march lekar
Raahein wafa pe thi tum  waadon ki torch lekar
Baandha jo ahde ulfat aprail chal raha tha


Duniya badal rahi thi  mausam badal raha tha
Lekin mayi jab aayi jalne laga zamana
Har shaks ki zabaan par tha bas yahi fasana
Duniya ke darr se tumne badli thi jab nigaahein
Tha june ka mahina lab pe thi garm aahein
Jully mein jo tumne ki baatchit kutch kam
Thein aasman pe baadal aur meri aankhein purnam
Mahe agast mein jab barsaat hoo rahi thi
Bas aasuon ki baarish din raat ho rahi thi


Kutch yaad aa rahi hain woh maah tha sitambar
Bheja tha tumne mujhko tarke wafa ka letter
Tum gair ho rahi thi octubar aa gaya tha
Duniya badal chuki thi mausam badal chuka tha
Jab aa gaya navamber aaisi bhi raat aayi
Mujhse tumhein chudane sajkar baraat aayi
Bekhaif tha december  jasbaat mar chuke thein
Mausam tha sard usmain armaan bikhar gaye the


Lekin yeh kya batau ab haal dusra hain
Lekin yeh kya batau ab haal dusra hain
Lekin yeh kya batau ab haal dusra hain
Lekin yeh kya batau ab haal dusra hain
Lekin yeh kya batau ab haal dusra hain


Arey woh saal dusra tha yeh saal dusra hain
Woh saal dusra tha yeh saal dusra hain
Woh saal dusra tha yeh saal dusra hain.

Related Songs

More songs from Best Of Altaf Raja (2009)
More songs of Altaf Raja