Tum Hi Ho Mata Pita Lyrics - Meena Kumari | Sunil Dutt | Lata Mangeshkar

1962

Lyrics

Tumhi ho mata pita tumhi ho
Tumhi ho bandhu sakha tumhi ho
Tumhi ho mata pita tumhi ho
Tumhi ho bandhu sakha tumhi ho

Tumhi ho saathi tumhi sahaare
Koi na apna siwa tumhaare
Aaa aaa
Tumhi ho saathi tumhi sahaare
Koi na apna siwa tumhaare
Tumhi ho naiyya tumhi khewayya
Tumhi ho bandhu sakha tumhi ho
Tumhi ho mata pita tumhi ho
Tumhi ho bandhu sakha tumhi ho

Jo khil sake na wo phool ham hain
Tumhaare charnon ki dhool ham hain
Aaa aaa
Jo khil sake na wo phool ham hain
Tumhaare charnon ki dhool ham hain
Daya ki drishti sadaa hi rakhna
Tumhi ho bandhu sakha tumhi ho
Tumhi ho mata pita tumhi ho
Tumhi ho bandhu sakha tumhi ho.