Tu kaha hai balam mere aa ja song is from and it is sung by and .It stars Paro, Iftekhar and Amina in leading roles. This song is penned by and composed by . This song was released on 01 Jan 2018.
tu kaha hai balam mere aa ja
mere dil ki kali ko khila ja
tu kaha hai

kya karu jo ye rut hai suhani
kya karu jo ye rut hai suhani
meri tujh bin hai suni jawani
meri tujh bin hai suni jawani
ho mujhe apna darsh dikhla ja
tu kaha hai balam mere aaja
mere dil ki kali ko khila ja
tu kaha hai

mai to tere hi man me chhupa hu
mai to tere hi man me chhupa hu
tere jiwan me khoya hua hu
tere jiwan me khoya hua hu
ho sake to mera bhed pa ja
mere dil ki kali ko khila ja
tu kaha hai

maine dhunda bahut par na paya
maine dhunda bahut par na paya
maine apne ko kaisa chupaya
maine apne ko kaisa chupaya
ab to naino me mere sama ja
tu kaha hai balam mere aaja
mere dil ki kali ko khila ja
tu kaha hai

apne jiwan ko rangi bana le
apne jiwan ko rangi bana le
ab mai chupti hu tu mujhko pale
ab mai chupti hu tu mujhko pale
phir mai rani hu aur tu hai raja
mere dil ki kali ko khila ja
tu kaha hai tu kaha hai