Suno suno amar kahani song is from and it is sung by and .It stars , and in leading roles. This song is penned by and composed by . It is produced by U.V. Suryanarayana. This song was released on 11 May 1986.
Suno suno suno meri jubani,
Suno suno suno amar kahani
Aate hain ji jate hain
Aate hain ji jate hain ji,
Kaun aate hain
Iss dharati par kabhi kabhi
Aise log bhi aate hain
Rehti duniya tak
Jo aana naam amar kar jate hain
Suno suno suno meri jubani,
Suno suno suno amar kahani


Attharah sau sattavan
Kaa zamana yaad karo
British jalimo kaa
Zamana yad karo
Firangi ne aate jate
Hamla kiya aisa
Khun hamara hokar
Pani bah sakta hai kaise
Hame kayar samajhakar
Fauj unaki iss tarah tuti
Kunvari kya suhagan
Kya sabhi ki aabru luti


Ek vir dharmaraj talvar ley ke aaya
Woh bharat man kaa
Beta ma ka baju thamane aaya
Kuda woh maidan mein
Lekar nyay ki talvar
Dher ho gayi ret
Jaise dushman ki diwar
Toh kya videshi
Dum dabakar bhag gaye
Bhage nahi har gaye
Hare huye sipahi par
Gora afasar baras pada
Aur kaha samane se nahi
Toh pith mein chhuri maron
Jit ki kushi mein soye huye insan par
Firangi sipahio ne hamala kar diya


Firangio ne pichhe se
Unako ise tarah pakda
Bade dhokhe se aakar
Sher ko janjiro me jakada
Ghana woh ped jo deta
Tha sare ganv ko chhaya
Usi peh phansi dene
Ko dharmaraj ko latakaya
Shahid toh marke bhi
Jite rahate hain
Isi liye toh amar
Unako log kehte hain
Kate huye iss ped ko
Dekho gadi hai jo talvar
Abb tak isme baki hai
Aajadi ki jhankar.