Shikayat Kya Karoon Lyrics - Kundan | Sunil Dutt | Nimmi | Sohrab Modi | Lata Mangeshkar
in Movies
Watch the Video
Song Information
Shikayat kya karoon song is from Kundan (1955) and it is sung by Lata Mangeshkar.It stars Sunil Dutt, Nimmi, Sohrab Modi, Manorama in leading roles. This song is penned by Shakeel Badayuni and composed by Ghulam Mohammad. It is produced by Sohrab Modi. This song was released on 01 Jan 2018.
Lyrics
Shikaayat kya karoon
Dono taraf gham kaa fasaana hai
Mere aage mohabbat hai
Tere aage zamaana hai
Shikaayat kya karoon
Dono taraf gham kaa fasaana hai
Pukara hai tujhe manzil ne
Lekin main kahaan jaaun
Pukara hai tujhe manzil ne
Lekin main kahaan jaaun
Bichhad kar teri duniya se
Kahaan mera thikana hai
Shikaayat kya karoon
Dono taraf gham ka fasaana hai
Mubaarak ho tujhe jaan e wafaa
Majbooyaan teri
Mubaarak ho tujhe jaan e wafaa
Majbooriyan teri
Mujhe to zindagi bhar pyaar ka
Wada nibhaana hai
Shikayat kya karoon
Dono taraf gham ka fasaana hai
Mere aage mohaabat hai
Tere aage zamaana hai
Shikayat kya karoon
Dono taraf gham ka fasaana hai.