Shahare Wafa Ke Har Patthar Pe Lyrics - Anuradha Paudwal | Jaswant Singh

2000

Lyrics

Shahare wafa ke har patthar pe
Naam likha hain tera mera
Phir bhi duniya puchh rahi hain
Kyaa rishta hain tera mera
Shahare wafa ke har patthar pe
Naam likha hain tera mera
Phir bhi duniya puchh rahi hain
Kyaa rishta hain tera mera
Shahare wafa ke har patthar pe

Tumne mujhse maine tujhse
Tut ke aisa pyaar kiya hain
Tumne mujhse maine tujhse
Tut ke aisa pyaar kiya hain
Jab bhi waffa ki baat chhidi hain
Zikra huaa hain tera mera
Phir bhi duniya puchh rahi hain
Kyaa rishta hain tera mera
Shahare wafa ke har patthar pe

Dil ka nagar aankhon ki basti
Pyaar mehel yaado ki galiyan
Dil ka nagar aankhon ki basti
Pyaar mehel yaado ki galiyan
Naam jagah ka koi ho lekin
Ek patta hain tera mera
Phir bhi duniya puchh rahi hain
Kyaa rishta hain tera mera
Shahare wafa ke har patthar pe
Naam likha hain tera mera
Phir bhi duniya puchh rahi hain
Kyaa rishta hain tera mera
Shahare wafa ke har patthar pe.