Sakiya peene se song is from and it is sung by . This song is penned by and composed by . This song was released on 12 Mar 2009.
mai sharaabi wo nahi ek do saagar maange
hai meri pyaas wo sehara jo samandar maange
khush mai kar dunga tujhe khush mujhe kar de saaki
sara maykhaana mere jaam me bhar de saaki
saakiya saakiya saakiya peene se mai kabhi thakta nahi
saakiya peene se mai kabhi thakta nahi
jitne jaam bharke piyu
o o o jitne jaam bharke piyu
phir bhi bahakta nahi bahakta nahi
saakiya he saakiya are saakiya
peene se mai kabhi thakta nahi
ha saakiya peene se mai kabhi thakta nahi
jitne jaam bharke piyu
o o o jitane jaam bharke piyu
phir bhi bahakta nahi bahakta nahi
saakiya peene se mai kabhi thakta nahi
dekh masti hai meri saare masto se juda
meri fitarat hai sabhi mayparasto se juda
hey dekh masti hai meri saare masto se juda
meri fitarat hai sabhi mayparasto se juda
ek do jaam se kya saakiya hoga bhala
jaam par jaam pila daur par daur chala
kuch pilaane me kami mere saaki naa rahe
la mujhe itani pila pyas baaki naa rahe
bekarar rahta hu jab o o o bekarar rahta hu jab
jaam chalkata nahi chalkata nahi
saakiya he saakiya saakiya peene se mai kabhi thakta nahi
ha saakiya peene se mai kabhi thakta nahi
yu hi mai peeta rahu tu pilaata hi rahe
daur par daur chale luft aata hi rahe
hey yu hi mai peeta rahu tu pilaata hi rahe
daur par daur chale luft aata hi rahe
mere bahake naa kadam haath tera naa ruke
aaj ye saara jahaa apne kadmo me jhuke
tujhe maykash bhi koi mere jaisa naa mile
mujhe saaki bhi koi tere jaisa na mile
bin sharaab ke to mera o o o bin sharaab ke to mera
dil bhi dhadakta nahi dhadakta nahi
saakiya he saakiya saakiya peene se mai kabhi thakta nahi
ha ha saakiya peene se mai kabhi thakta nahi
jitne jaam bharke piyu
ha jitne jaam bharke piyu
phir bhi bahakta nahi bahakta nahi
saakiya peene se mai kabhi thakta nahi
o thakta nahi ha thakta nahi ha thakta nahi