Sagar Nahi To Kya Hai Lyrics - Naatak | Amar | Kanwar | Pratima Devi | Mohammed Rafi
in Movies
Watch the Video
Song Information
Sagar nahi to kya hai song is from Naatak (1976) and it is sung by Mohammed Rafi.It stars Amar, Kanwar, Pratima Devi, Shyam Kumar in leading roles. This song is penned by Anand Bakshi and composed by Laxmikant Pyarelal. It is produced by C. D Shah, Harish Upadhyay. This song was released on 01 Jan 2018.
Lyrics
Sagar nahi hai to kya hai
Sagar nahi hai to kya hai
Teri aankh ka nasha to hai
Badal nahi hai to kya hai
Badal nahi hai to kya hai
Teri zulf ki ghata to hai
Sagar nahi hai to kya hai
Meri tamana thi mehfil se
Tum ye uth ke jane lage ho
Aisi bhi kya berukhi ruth kar
Humse aankhe churane lage
Ho churane lage ho
Mausam nahi hai to kya hai
Mauka ye pyar ka to hai
Sagar nahi hai to kya hai
Teri zulf ke ghane saye me
Char pal sath tere jiyenge
Sagar se roz pite hai
Aaj teri nazar se piyenge
Nazar se piyenge
Sakhi nahi hai to kya hai
Ek shok dilruba to hai
Sagar nahi hai to kya hai
Shayad yahi ha kayamat ki rat
Man lene ko ji chahata hai
Teri kasam aaj dil hi nahi
Jaan dene ko ji chahata hai
Ji chahata hai
Katil nahi hai to kya hai
Kafir teri ada to hai
Sagar nahi hai to kya hai
Sagar nahi hai to kya hai.