Ab na mujhko yaad beeta Main toh laamhon mein jeeta Chala ja raha hoon Main kahan pe ja raha hoon Kahan hoon?
Iss yakeen se main yahaan hoon.. Ki zamana yeh bhala hai Aur jo raah mein mila hai Thodi door jo chala hai Woh bhi aadmi bhala tha pata tha.. Zara bas khafa tha
Woh bhatka sa raahi mere gaanv ka hi Woh rasta purana jise yaad aana Zaruri tha lekin jo roya mere bin Woh ek mera ghar tha Puraana sa darr tha
Magar ab na main apne ghar ka raha
Safar ka hi tha main safar ka raha
Idhar ka hi hoon na udhar ka raha Safar ka hi tha main safar ka raha (x2)
Main raha oh o.. Main raha oh o.. Main raha..
Neel patthron se meri dosti hai Chaal meri kya hai raah jaanti hai Jaane rozana, zamana wohi rozana
Shehar shehar fursaton ko bechta hoon Khaali haath zyada khaali laut'ta hoon Aise rozana.. rozana khud se begana
Jabse gaanv se main shehar hua Itna kadva ho gaya ki zehar hua Main toh rozana Na chaha tha yeh ho jaana maine
Yeh umrr, waqt, raasta guzarta raha Safar ka hi tha main safar ka raha
Idhar ka hi hoon na udhar ka raha Safar ka hi tha main safar ka raha (x2)
Main raha oh o.. Main raha oh o.. Main raha..
Safar ka hi tha main safar ka raha