Ruk tau zara ae musafir Kuch saans lena de pal ko zara Kohni ke bal dard jhel kar Ek raat aane ko hai sun toh zara
Lafz gelay se nazm paani si Banti jaayegi ek kahani si Khilti hui ek roshni Bechain aane ko hai ruk tau zara
Ruk tau zara ae musafir Kuch saans lene de pal ko zara
Woh jo saawal aankhon mein thhe Ab bhi kahin aankhon mein hain
Sholon ki lau mein jalti thi jo
Woh sari lakeerein haathon mein hain Mit jaayengi sab lakeerein Bas haath dho lene de ruk toh zara
Ruk tau zara ae musafir Kuch saans lene de pal ko zara
Thakne lagi hain paaon mere Sitaron pe chalna aasaan nahin Ungli ke neeche rakha tha dil Aur jo dabaya tau jaan nahin
Kuch khwahishein jo ragon mein thhe Ek pal mein jalne ko hai ruk tau zara
Ruk tau zara ae musafir Kuch saans lene de pal ko zara