ro_uuN main saagar ke kinaare, saagar haNsii uDaae Lyrics - Rishi Kapoor | Sridevi | Nasir Khan | C H Atma

1986

Lyrics

kyaa jaanen ye chanchal laharen, main huun aag chhupaae
main bhii itanaa duub chukaa huun, kyaa terii gaharaa_ii
kaahe hod lagaae mo se, kaahe hod lagaae
ro_uun main saagar ke kinaare
tujh men duube chaand magar ik chaand ne mujhe dubaayaa
meraa sab kuchh luut ke le ga_ii, chaandanii raat kii maayaa
armaanon kii chitah sajaakar mainne aag lagaa_ii
ab kyaa aag bujhaae merii, ab kyaa aag bujhaae
ro_uun main saagar ke kinaare