Ret Par Likh Ke Mera Naam Lyrics - Ustad Ghulam Ali

1997

Lyrics

Ret par likh ke mera naam mitaya na karo

Aankhe sach bolati hai pyaar chhupaya na karo
Ret par likh ke mera naam mitaya na karo

Log har baat ka afsana bana lete hai
Log har baat ka afsana bana lete hai
Sab ko halat ki rudad sunaya na karo

Ye zururi nahi har shakhs masihaa hi ho
Ye zururi nahi har shakhs masihaa hi ho
Pyaar ke zakhm amaanat hai dikhaya na karo
Ret par likh ke mera naam mitaya na karo

Log har baat ka afsana bana lete hai
Log har baat ka afsana bana lete hai
Sab ko halat ki rudad sunaya na karo
Ret par likh ke mera naam mitaya na karo

Shahar e ehsaas mein patharav bahut hai mohasin

Dil ko shishe ke jharokho mein sajaya na karo
Ret par likh ke mera naam mitaya na karo
Aankhe sach bolati hai pyaar chhupaya na karo.