Radha gori govinda hai kala song is from and it is sung by .It stars Jagdeep, Chitra and Ramayan Tiwari in leading roles. This song is penned by and composed by . It is produced by Rattan Kumar. This song was released on 01 Jan 1965.
hei brijwala hei brijwala
hei brijwala hei brijwala re wala

pyaar dhala re dhala
radha gori govinda hain kaala
pyaar dhala re dhala
radha gori govinda hain kaala
pyaar dhala re dhala
radha gori govinda hain kaala

chhede radha ko, radha ki sakhiya
gori hamse chhupa, tu na batiya
chhede radha ko, radha ki sakhiya
gori hamse chhupa, tu na batiya
pyaar kaise hua, ye bata de jara
kab andhere me, dekha ujala re
pyaar dhala re dhala
radha gori govinda hain kaala
pyaar dhala re dhala
radha gori govinda hain kaala
radha gori govinda hain kaala

brij me khelta, hain wo holi
rang me dubi hain, radha bholi
brij me khelta, hain wo holi
rang me dubi hain, radha bholi
samane jo gaya, uske wo na bacha
nada natkhat hain, wo murli wala re
pyaar dhala re dhala
radha gori govinda hain kaala
pyaar dhala re dhala,
radha gori govinda hain kaala
radha gori govinda hain kaala

isko toka, waha khatpat ki
khaya makhan, kahi fodi matki
isko toka, waha khatpat ki
khaya makhan, kahi fodi matki
maa yashode jara, dekh le tu bhi aa
raah chalne na de, tera paala re
pyaar dhala re dhala
radha gori govinda hain kaala

naam uske jape, sab zamana
shyam govinda, girdhari kanha
naam uske jape, sab zamana
shyam govinda, girdhari kanha
man ko chain aaye na, usko dekhe bia
aisa jaadu hain, kuchh usne daala re
pyaar dhala re dhala
radha gori govinda hain kaala
pyaar dhala re dhala
radha gori govinda hain kaala
radha gori govinda hain kaala