Rab mere araj sun meri song is from and it is sung by , , and .It stars and in leading roles. It is produced by Raj Kapoor. This song was released on 06 Aug 1948.
rab mere araj sun meri sharan abb teri
jis din se gaya dil mera dukho ne ghera
rab mere araj sun

kyun ruth rahe kartaar meri sarkaar
bataate jaao - 2
kya humse ho gayi bhul
humein batlaao - 2
padu na paiya na ho naaraaz mere sartaaj
ye dil abb tera jis din se gaya
rab mere araj sun

padi dil ki duniya suni idhar bhi dekho
idhar bhi aao - 2
sab khade huye behaal zara muskaao
na ab tarasaao laga aise nazar ka tir
kaleja chir gaya jo mera
jis din se gaya

meri sunte jaao baat
tumhaare jod raha hun main haath - 2
kyun mujhse jaate dur mere o nur
nibha do saath - 2
zara baitho hason muskaao humein behlaao basa do dera
jis din se gaya
haay rab mere araj sun