Phoolo Ki Tarha Woh Hansti Thi Lyrics - Mohammed Rafi
in Movies
Watch the Video
Song Information
Phoolo ki tarha woh hansti thi song is from College Girl (1978) and it is sung by Mohammed Rafi.It stars Sachin Pilgaonkar, Bindiya Goswami and Lagu in leading roles. This song is penned by Dev Kohli and composed by Bappi Lahiri. It is produced by Shantilal Soni. This song was released on 24 Aug 1978.
Lyrics
phulo ki tarah wo hansti thi kaliyo ki tarah muskati thi
wo tumse bilkul milti hai khwabo me mere jo aati thi
phulo ki tarah wo hansti thi kaliyo ki tarah muskati thi
wo tumse bilkul milti hai khwabo me mere jo aati thi
phulo ki tarah wo hansti thi
jiwan ki dhadkan bankar wo chha jati thi in saso me
or me bhi duba rahta tha uski matwali aakho me
tuh jaise sharma jati ho aise hi wo sharmati thi
phulo ki tarah wo hansti thi
tu mere tasvvur me aakar aksar khamosh si rehti thi
na mai tujhse kuch kehta tha, na tu mujhse kuch kehti thi
kuch maine agar kehna chaha teri nazar jhuk jaati thi
phulo ki tarah wo hansti thi
hotho ko izazat tum de do izahar mohbbat ka kar lu
kah do agar jo aaj mujhe in baaho me tumko bhar lu
ye pyar si surat hai wahi din raat najar jo aati thi
phulo ki tarah wo hansti thi kaliyo ki tarah muskati thi
wo tumse bilkul milti hai khwabo me mere jo aati thi
phulo ki tarah wo hansti thi