Phool Ka Shabab Kya Lyrics - Govinda | Shashi Kapoor | Amrish Puri | Mohammed Rafi

1989

Lyrics

Phool ka shabab kya husn mahatab kya
Aap to bas aap hai aap ka jawab kya
Aap ka jawab kya
Phool ka shabab kya husn mahatab kya
Aap to bas aap hai aap ka jawab kya
Aap ka jawab kya

Zulfo se khele mahki hawaye
Uff ye jawani uff ye adaye
Uff ye jawani uff ye adaye
Surkh lab ke samne sokhi ye gulab kya
Phool ka shabab kya husn mahatab kya
Aap to bas aap hai aap ka jawab kya
Aap ka jawab kya

Aankho mein tauba kitna nasha hai
Main kya ye mausam bahka hua hai
Main kya ye mausam bahka hua hai
Layegi ye mastiya koi bhi sharab kya
Phool ka shabab kya husn mahatab kya
Aap to bas aap hai aap ka jawab kya
Aap ka jawab kya

Gore badan se lipta hua hai
Pani ki dekho takdir kya hai
Pani ki dekho takdir kya hai
Yuhi dekhta rahu main hasin khwab kya
Phool ka shabab kya husn mahatab kya
Aap to bas aap hai aap ka jawab kya
Aap ka jawab kya
Aap ka jawab kya.