Os Pade Bahar Par Lyrics - Chitra Singh (Chitra Dutta)

1992

Lyrics

Os pade bahaar par
Aag lage kanaar mein
Tum jo nahin kanaar mein
Lutf hi kya bahaar mein

Uspe kare khuda rahem
Gardish-e-rozgaar mein
Apni talaash chodkar jo hain
Talaash-e-yaar mein

Hum kahin jaane waale-e-ahed
Daaman-e-ishq chodkar
Zeest tere huzur mein,
Maut tere dayaar mein

Os pade bahaar par
Aag lage kanaar mein
Tum jo nahin kanaar mein
Lutf hi kya bahaar mein.