Na Inka Rang Asli Hai Na Inka Roop Asali Hai Lyrics - Taxi Driver | Badri | Ambar Kumar
in Movies
Watch the Video
Song Information
Na inka rang asli hai na inka roop asali hai song is from Taxi Driver (1973) and it is sung by Badri and Ambar Kumar.It stars Vishal, Anupama and Ashok Kumar in leading roles. This song is penned by Farooq Qaiser and composed by O P Nayyar. It is produced by Mohammed Hussain. This song was released on 01 Jan 2018.
Lyrics
na inka rang asli hai na inka rup asli hai
ye bambai hai hasino ki yaha har chiz nakli hai
na inka rang asli hai na inka rup asli hai
ye bambai hai hasino ki yaha har chiz nakli hai
na inka rang asli hai na inka rup asli hai
pahan kar bhai ki lungi chali hai sair ko bahna
meri mano to tum aisi bala se dur hi rahna
chipak kar rah gayi tango se ye patlun angreji
ye kapde aise pahne hai ke jaise kuch nahi pahna
lage hai is ko par jhuthe ye dhokhe baz titli hai
ye bambai hai hasino ki yaha har chiz nakli hai
na inka rang asli hai na inka rup asli hai
laga ke surkhi or lali kiya hai lal galo ko
banaya ghosla chidiyo ka apne sir ke balo ko
na iski aankh me jadu na isko chal me masti
bana dala hai andha isne sare aankh walo ko
ye bahar se hai narangi magar andar se imli hai
ye bambai hai hasino ki yaha har chiz nakli hai
na inka rang asli hai na inka rup asli hai
ye nakhre aise karti hai ke jaise chini gudiya hai
magar najdik se dekho to ye paishath ki pudiya hai
pati bhi iska ghabrata hai ghar wale bhi darte hai
na ud jaye kahi hatho se ye sone ki chidiya hai
ye surat se lage devi magar aafat ki putli hai
ye bambai hai hasino ki yaha har chiz nakli hai
na inka rang asli hai na inka rup asli hai
ye bambai hai hasino ki yaha har chiz nakli hai
na inka rang asli hai na inka rup asli hai