Mumkin hai song is from and it is sung by . The music of this song is composed by . This song was released on 17 Jan 2015.
mumkin hai mumkin hai
banjar dharti ke seene par
pair patak kar nanha ankur
ek hari si zid par utre mumkin hai
mumkin hai mumkin hai mumkin hai
suraj muthi ke andar ho
aur daraaro se ungli ki jhalak
roshni pharsh pe bikhare mumkin hai
mumkin hai mumkin hai mumkin hai
aankh hazaro par ek sapna
raah hazaro par ek manzil
pyas hazaro par ek barish
mumkin hai mumkin hai mumkin hai mumkin hai
mumkin hai mumkin hai mumkin hai mumkin hai
hath badhana badal chuna
aur nichhod ke ek baadal se
honth bhigona mumkin hai
ek deepak ka tufano se aao khele
keh kar masti me lehrana mumkin hai
khwabo ko aansu nehlana
aur phir dhule dhule khwabo ko dekhna
phir se dekhte jana mumkin hai
mumkin hai mumkin hai mumkin hai
ik masoom sa kagaj le kar
banaa ke kashti armano ki
ik safar pe chalte jana mumkin hai
mumkin hai mumkin hai mumkin hai
ghane darakhto ke saye me
patjhad ki takleef sochna mumkin hai
khili khili se dhup ki rut me
sharad raat ki tish sochna mumkin hai
bicho bich hatheli ke
ik narangi angara rakhna
rooh talak phir sulagte jaana mumkin hai
mumkin hai mumkin hai mumkin hai
aane wale kal ki aahat
dur se suna aur darwaje khol ke
rakhna raah sajana mumkin hai
aankh hazaro par ik sapna
raah hazaro par ek manzil
pyas hazaron par ek barish
mumkin hai mumkin hai mumkin hai mumkin hai
mumkin hai mumkin hai mumkin hai mumkin hai
mumkin hai mumkin hai mumkin hai mumkin hai